juni 13, 2013

Kalma Tayyabah ki Ahmiyat Zoya ki Zindagi mein

988539 511938812188562 1720751975 n Kalma Tayyabah ki Ahmiyat Zoya ki Zindagi mein
Ek musalman Kalma Tayyabbah ki ahmiyat ko jaanta hai. Zoya ne jitni khobsurti se iss kalme ki aadaiegi ki, hur ek musalman kaanp gaya hoga. Aur sirf uss ne kalma padha nahin, uss ke maine bhi bakhobi bayan kiye. Iss se saaf yehi dikhaya gaya hai ke libaas chahey jaisa bhi ho, andaaz chahey jaisa bhi dikhe ek musalman ko aap uss se judge nahin kur sakte, woh apne kalme ko, apne mazhab ki ahmiyat ko, apne rab se bane rishte ko, apne nabbi ki ahmiyat aur unke muqaam ko bohut ache se jaanta hai. Bohut khobsurti se 4 lion ne iss baat ko dikhaya, aur hur musalman ko yeh yaad rakhna chahiye ke usko apni kurni ka jawab deh hona hai apne rab ke saath. Yeh uska aur uske rab ke darmiyan ki baat hai, koi kissi ka jawab deh nahin hoga, toh logon pur ungliya uthana chor do. Apne karmo ki fikar karo dosre ki nahin. Asad ne hamesha Zoya ko judge kiya, pur hur muqaam pur Zoya ne usse ghalat saabit kiya. Asad woh duniya ka banda hai jo hur kissi ko judge kurne mein laga rehta hai, aur chaubees ghante apni hi taareef kurta hai, apne ko acha samajhta hai. Pur aisa nahin hai, yeh zoya ne prove kiya hai. Aaj Tanu ke shaitaani mansube (plan) pur Zoya ke ek achai ki jeet hogaiee. Woh “kehte hain na jisse Allah rakhe usse kaun chakhe” (if Allah is with someone, no one can hurt that person). Aaj Zoya ki jeet aur Tanu ki haar. Aapko kya lagta hai Tanu jeet paayegi? Kabhi Shaitan ki Allah se jeet hui hai?
“Sau sunaar ki, ek lohaar ki” (Hundred blows of goldsmith is comparable to one blow of iron-smith), yehi haal Tanu aur Zoya ka hai. Tanu bolti hi rehti hai, kurne ki dhamkiyan de jaati hai, pur Zoya ek hi waar mein usse gira deyti hai. Hur waqt woh Tanu ko jalane mein lagi hai. Kabhi Asad se apni tareef kurwa rahi hai, toh kabhi apna haq haq se jata rahi hai. Kabhi kabhi yeh dur bhi lagta hai ke kahin Zoya ka yeh faqar Asad pur usse mehenga na padh jaaye. Kahin kissi ki nazar na lag jaaye Zoya ki khushyon ko, pur iss ke liye toh humein intezaar kurna hoga. Pyaar sacha ho, gehra ho, aur chahne waale ka saath ho toh chahe kitne bhi toofan aaye, uska saamna kur sakte hain, aur usse maat bhi de sakte hain, hai na?
Razia apni chaalon se baaz nahin aa rahi hai. Khel rahi hai wohi purana khel jo uss ne Rashid ke saath khela, pur mazza toh jab aayega, jab Ayaan mangni nahin kare aur khudh ko Police ke hawale kur de. Aur uss ki wajjah se Humaira Razia ko ghar se nikal de kya kehte hain aap agar aisa ho gaya toh? Chaalein chalna aur uss ko kamyaab bhi banana bohut badi baat hai, pur mazza jab aata hai jab chaalein ulti padh jaati hain aur saari khushi hawa ke saath udh jaati hai. Buri pur achai hi ki jeet hoti hai, honi chahiye, aur hoti hi raheygi, loog kitne bhi bure ho jaye who kabhi nahin jeet sakte. Iss duniya mein jeet bhi jaaye toh wahan haar hi haar hai.
Naye aane waale bohut se twist aur turns ke liye daikhte rahiye Qubool Hai Monday se Friday hur roz raat 9:30 bajee Zee TV pur.
Author – Muniza Riaz
Telly Tadka

Inga kommentarer:

Skicka en kommentar