juni 22, 2013

Qubool Hai: Toote Hove Khwaab Dard Deyta Hai

QHZF Qubool Hai: Toote Hove Khwaab Dard Deyta Hai
Aaj Zoya ke saare sapne kirchi kirchi hogaye. Uss ne Tanu ki baat ko sanjeedgi se nahin liya, aur iska anjaam yeh hova ke Tanu apne gande maqsad mein kamyaab hogaiee. Chahey dhoke se hovi ho, pur kamyaab toh hoiee na. Kabhi kabhi hum baton ko bohut hulka leyte hain, aur samajhte hain ke saamne waala kuch nahin kur sakta sirf baton ke, pur hur baat ka ek maqsad hota hai, usse hur waqt nazar andaaz bhi nahin kur sakte. Zoya ko Asad pur toh bharosa tha, pur Tanu ki baat pur bharosa na kur saki, aur iska anjaam yeh hova ke Tanu jeet gaiee. Maana Asad hosh mein nahin tha, aur kuch aisa hova bhi nahin hai, pur daikhe ko undaikha bhi nahin kur sakte.
Toot gaiee Zoya, bikhar gaye uske sapne, uska bharosa. Aaj uska rowa rowa dard mein hai, takleef mein hai. Bikhar gaiee hai woh, toot gaiee hai. Uska roam roam ro raha hai, sisuk raha hai. Uske aanso poochne ki himmat bhi nahin hai kissi mein. Usko haq hai apna dil khol kur rone ka. Kitna muskil hota hai apne ko sambhalna jab aapko yeh bataya jaaye ya dikhaya jaaye ke jis se aap pyaar kurte hain, uss ne aap ko dhoka diya hai, aap ke sapno ko toda hai. Yeh dard wohi samajh sakta hai jo iss dard se guzra ho. Salute hai Surbhi Jyoti ko itni behtreen performance pur. Bohut khoob ke hur aankh ko rula diya itna dard dikha kur.
Asad be’qasoor hai, Zoya ko uska sach sunna aur manna hi hoga. Abhi woh iss halat mein nahin hai ke kuch samajh sake, pur woh zaror suneygi. Usse sunna hi hoga kyonke uss ne kaha tha ke woh Mr.Khan ki baat sunneygi. Aaj Asad hara hova hai, pur shair haarta nahin hai, maana jeet bili ki hovi, pur zyada din nahin. Jhoot ke pair nahin hote, woh bhaag nahin sakta hai, issi liye jald bahar aa jayega, aur hoga uska khaatma.
Aaj sirf Zoya ke sapne kirchi kirchi nahin hovey hain, Dilshaad ka ghurur bhi toota hai. Aaj Zoya, Dilshaad ki jagah khadi hai, aur Asad, Rashid Ahmed Khan ki jagah. History aise bhi dohrai jaati hai koi soch bhi nahin sakta, pur humein ishaare milte rahe, pur hum hi samajh na sake. Dilshaad ne Ghusse mein faisla liya aur ghusse mein liya hova faisla kabhi sahi nahin hota. Agar Shereen ghalat thi, toh Dilshaad ko ghalat nahin hona chahiye tha. Jald baazi ka kaam aksar shaitan ka hi hota hai. Bohut se sabakh 4 lions humein de raha hai, pur shayad hum mein samajhne ki taqat hi nahin. Zoya ke saath Dilshaad bhi bikhar gaiee, pur usse apne bête pur yakheen kurna chahiye. Uski parwarish ghalat nahin hai, chahe koi kitna bhi ghalat dikhaye. Asad ne kuch ghalat nahin kiya woh bhi saazish ka shikar hogaya.
Asad abb zaror samjheyga apne baap ki baat ko. Aaj tak woh unn ko nahin sunta tha, sunna chahta hi nahin tha, pur jab apne pur aati hai toh sunna padhta hai, samajhna padhta hai, aur yehi Asad Ahmed Khan kareyga. Nikleyga woh uss qaul se bahar jo uss ne apne gird bandha hova hai apne baap ke khilaaf. Rishton ko samajhna unn pur bharosa kurna, unko sunna bohut zarori hota hai. Kisi bhi baat ko aise hi yakheen nahin kur leyna chahiye, khaas taur pur jab woh apno se judi ho. Jin se aap pyaar kurte hain, unn pur se kabhi bharosa na uthne dyna chahiye, warna bahar waalon ko toodne mein aur aasani ho jati hai.
Zoya aur Dilshaad ka bharosa shayad na toota ho, pur woh abhi iss halat mein hi nahin hain ke iss baat ko itni asani se maan lein, kyonke jo bhi ho Asad hi unn dono ke jeene ka maqsad hai, warna zindagi ne kuch acha nahin diya unhein, phir bhi Dilshaad aur Zoya ne muskura ke usse qubool kiya, aur abb unn ke liye mushkil hai ek baar phir uss dard se guzarna, pur yeh bhi sach hai ke itni asaani se woh haar nahin maaneingi. Sona bhatti mein jal kur hi mazboot hota hai. Zoya aur Dilshaad wohi sona hain.
Aane waale hain aage bohut dard bhare episodes, aur behtreen performances humare actors ki. Aap apne sabar ko mut khoiye aur daikhte rahiye Qubool Hai Monday se Friday hur raat 9:30 bajje Zee TV pur!!
Author – Muniza Riaz
Telly Tadka

Inga kommentarer:

Skicka en kommentar