Zindagi mein haath toh koi bhi thaam sakta hai, pur dil sirf ek baar kisi ek ki liye hi dharakta hai. Tanu kitni bhi Asad ke khareb ho, nazdeek ho, pur Zoya ki jagah kabhi nahin le sakti Asad Ahmed Khan ki zindagi mein. Zoya ki maujodgi Asad ko duniya ki saari khushiyan de deyti hai. Zoya ke bina uski zindagi pheeki aur ujaad si hai. Tanu apni dosti ka haq jama rahi thi, apnapan dikha rahi thi, pur Asad ko uska choona bhi ghair ke choone jaisa lug raha tha. Zoya ke aate hi woh sab bhool gaya. Saari kainat jaise uss ke liye ruk gaiee. Yeh mohabbat ka jazba hota hi itna khobsurat, itna haseen hai ke usko lafzon mein bayan kurna hi mushkil hai, usse mahsoos hi kiya ja sakta hai. Aur mehsoos kurne ke liye dil ka hona bohut zarori hai. Asad ne aaj saare logon ke darmiyan yeh baat keh kur apne aap ko zoya ki nazron mein aur oncha kur liya ke “humein inke daagh se koi problem nahin”.
Tanu ne khela phir apna dau aur utha laiee woh mauzo (topic), jis ne Asad Ahmed Khan ko Tanu ko yeh batane pur majboor kur diya ke uski nazar mein Zoya kitna ooncha muqam rakhti hai. Dilshaad ke kuch kehne se pehle hi Asad ne Tanu ko yeh bata diya ke “Zoya ne apne andar kitne dukh chupaye hovey hain, itne dard aur takleef ke baad bhi woh apni aur dosron ki zindagi mein khushiyan baatne mein lagi hai, aur Tanu ko toh yeh baat samajhni hi chahiye”. Wah Asad Ahmed Khan aaj toh aap ne khul-e-aam hi apni mohabbat, apne jazbe ka bakhobi izhaar kiya. Yeh bata diya ke mujhe duniya ke kuch bhi kehne, sunne se koi farakh nahin padhta. Kinta badal diya Zoya ne aap ko, aur sach baat hai insaan mohabbat mein duniya badal deyta hai toh apna aap kya hai, bas pyaar sacha ho.
Bohut bura lagta hai Humaira ke pyaar ko imtihaan deyte hove. Kahin woh apni maa ki chaalon ki bali na chadh jaaye. Dono behno ki kya kismet hai, ek dukh ke baad khushiyan paa rahi hai, aur dosri sab kuch mil kur bhi khaali haath hai. Ayaan uske kitne khareeb ho kur bhi itne dur hai. Kaash woh uske pyaar ko samajh sake, aur apne liye nahin humaira ke pyaar ke liye apne aap ko ek mauqa de. Kehte hai na shaadi uss se karo jo tum se pyaar kurta hai, uss se nahin jis se tum pyaar kurte ho, kyonke jab aap uss insaan se shaadi kurte hain jo aap ko chahta hai toh woh saari ummar aap ko khush rakhta hai, pur woh jisse aap chahte ho aur woh aap ko nahin toh phir zindagi ek imtihaan hi reh jaati hai. Ayaan ko Razia ke liye nahin Humaira ke pyaar ke liye usse apni zindagi mein Qubool kurna chahiye.
Nikhat ko shak ho gaya hai Haseena Bi ke iss tarah rishta wapas jodne ke liye. Acha hoga ke abb Nikhat ek mazboot ladki ki tarah khudh iss rishte se inkaar kur de. Aur iss baat ki gehrai tak jaaye ke aakhir yeh khel kya chal raha hai. Shayad Rashid kamzor tha, pur aaj kal ke bache aise nahin hain jo kisi bhi baat ko bas aise hi maan lein. Shaatir nigah aur dimaagh rakhte hain.
Tanu ne mehndi mein acid mila kur Zoya ko ek baar phir apne pyaar ki taqat dikhane ka mauqa diya. Aur kal is acid so jo aag Tanu ke dil pur lagne waali hai, woh aap daikhna bilkul mut bholiye ga.
Daikhte rahiye Qubool Hai Monday se Friday hur roz raat 9:30 bajee Zee TV pur.
Author – Muniza Riaz
Telly Tadka
Inga kommentarer:
Skicka en kommentar