juni 08, 2013

Daagh Jism pur hai, Rooh pur Nahin

QHAsYa Daagh Jism pur hai, Rooh pur Nahin
Asad Ahmed Khan ko intezaar hi raha ke Zoya kab unka diya hova joda pehne, pur Zoya unki khwaish ko poori na kur saki, aur yehi baat Mr. Khan ko pareshaan kurti rahi ke aakhir kyon? Aakhir kyon Zoya unka diya hova joda nahin pehn rahi. Yeh sawal aakhir unhein Zoya ke kamre tak le hi gaya, aur apni jhijhak ke saath unho ne Zoya se pooch hi liya ke kya usko unn ka diya joda pasand nahin aaya? Zoya Asad ke liye woh joda pehn kur aaiee, yeh batane ke liye ke burai jode mein nahin uss mein hai. Aur utha diya uss raaz se pardah jo uss ghar ke makeen (people who stays the home) nahin jaante theey.
Asad ki roh kaanp gaiee apane pyaar ko iss takleef mein daikh kur. Jaan gaya who ke Zoya kitni mahan hai jo apne andar kitne dukh rakh kur muskurati rehti hai. Pur Asad Ahmed Khan ne bhi yeh bata diya ke usse jism ke daagh se koi pareshani nahin, kyon ke Zoya ki roh toh be-dagh hai. Bohut gehri baat thi uss scene mein. Sahi hai, jism ke daagh toh bhulaye ja sakte hain pur roh ke nahin, aur Zoya ki roh toh paak hai, uska daman daagh daar nahin. Aur uski gawahi usse deyne ki zarorat nahin. Asad ne bata diya sirf itni se baat keh kur ke “aap iss ke saath bhi itni hi khobsurat hain,” usse Zoya pur bharosa hai. Zoya ko Asad ko uske sahi hone ka yakheen dilane ki koi zarorat nahin. Unka rishta itna kamzor nahin hai ke koi Tanveer usse tod sake, ya unke darmiyan aa sake. Four Lions ne yeh dikha kur darshako ko saaf bata diya ke Asad aur Zoya sirf ek dosre ke liye hain, unka rishta anmol hai, aur uske darmiyan koi nahin aa sakta. Dimaagh zaherela ho sakta hai, pur dil kabhi nahin. Aankh dhoka kha sati hai, pur dil kabhi nahin. Rishton ko dil se samjho dimaagh se nahin. Dimaagh ke rishte sirf sauda hote hain, pur dil ke rishte gehre hote hain. Bohut khoob sandesh hai 4 lions ka unke viewers ko. Jaago logon apne dil ki aankh se duniya ko daikho, duniya bohut khobsurat lageygi jaise Zoya daagh daar ho kur bhi be-daagh hai. Asad badal gaya Zoya ke liye, aur Zoya ne bina apne aap ko kisi ke liye bhi badle, jeet liya Mr. Khan ko. Chand laene Asad Ahmed Khan ki taraf se Zoya Faroqui ke liye.
“Jeene laga hoon pehle se zyada
Pehle se zyada tum pe murne laga hoon”
Ek taraf jahan rishte jud rahe hain, mazboot ho rahe hain, wahin dosri taraf rishte bikhar rahe hain, barbaad ho rahe hain. Jal rahi hai aag nafrat ki ghusse ki, aur yeh aag mein kitne jalenge, yeh toh saaf hi nazar aata hai. Humari hi ghalti ki sazza hum khudh paate hain. Asaan hai kisi pur bhi ilzaam lagana, kisi ko bhi yeh keh deyna ke tum wajjah ho mere dard ki. Pur aisa hota nahin hai, hum hi toh bahar waalon ko jagah deyte hain apne ghar mein aag lagane ki. Aaj agar Shereen ka ghar bikhra hai, toot raha hai, toh uski wajjah woh khudh hai, uske dil mein lagi woh aag hai jo ussne Dilshaad ke liya laga rakhi hai. Uski woh insecurity hai jo uss ne dil mein paal rakhi hai. Uska Razia pur andha bharosa hai, jo usko uske bacho ki khushiyon se dur kur raha hai. Ek baar woh apni aankhein khol kur daikhe, uss pur se woh nafrat aur shak ka pardah hataye, phir sab saaf ho jayega.
Aaj Ayaan ne jo aag lagaiee uss aag mein sab jal jaayega, pur yeh aag lagane ke liye Razia ne usse majboor kiya, pur Razia yeh bhol gaiee ke iss aag se woh bhi nahin bach paayegi. Yeh aag uski beti ko pholon ki sej nahin, kaanto ki sej deygi. Dil ki badsurti ko khobsurat chehre ke peeche kuch waqt ke liye chupaya toh ja sakta hai, pur bohut dair tak yeh nakhab rehta nahin.
Aaj ek taraf jahan sachai ki jeet ho rahi hai, wahin dosri taraf Jhoot ki aag bhadak rahi hai. Agle hafte hum daikhenge ke kaise Zoya Tanveer ke khadam se khadam mila kur usko uske hi khel mein maat deygi. Toh bas apne dil ko thaam kur baithiye roller coaster ka mazza leyne ke liye.
Aur daikhna bilkul mut bholiyega Monday se Friday Qubool Hai hur raat 9:30 bajee Zee TV pur.
Author – Muniza Riaz
Telly Tadka

Inga kommentarer:

Skicka en kommentar