juni 15, 2013

Pyaar Sacha ho toh Angaro se bhi Khel lein

QH11 300x300 Pyaar Sacha ho toh Angaro se bhi Khel leinZoya ne Tanu ko dikha diya ke pyaar agar sacha ho, aur chahne waale ka saath ho toh aangaro se bhi khel jao, toh phir acid kya cheez hai. Aur Tanu ne toh acha hi kiya, abb Asad Ahmed Khan ka naam jo Zoya ke dil pur ta’umar ke liye likh diya gaya tha, aaj haatho pur bhi hamesha ke liye likh diya gaya. Shaatir dikhna aur shaatir hona, farq hai. Logon ko lagta hai ke woh bohut shaatir hain, aur jo unhe kurna tha woh unhone kurdiya aur paa liya, pur woh bhool jaate hain ke upar baith
i ek taaqat hai, jo duniya ki saari taakhaton se bohut badi hai, aur jab woh kisi ke saath ho, toh uss se badi koi jeet ho hi nahin sakti. Aur woh taakhat sirf sache logon ke saath hi hoti hai, aur woh Zoya ke saath hai, toh Zoya ka toh koi baal bhi beeka nahin kur sakta. Tanu ke dil pur toh saanp raing gaye, aakhir hui na pyaar ki jeet. Zoya kabhi nahin haar sakti chahe Tanu kitne bhi waar kurle, woh akeli thi, akeli hai, aur akeli hi raheygi. Agar jhoot aur faraib ne hi jeetna hota toh duniya mein sachai jaisa koi lafz hi nahin hota.
Zoya jab jab Mr. Khan ki taraf daikh rahi thi, tab tab usse woh dard sehne ki taakhat mil rahi thi, aur Asad ke pyaar ne hi usse woh taakhat di, jis se uss ne woh dard bardasht kiya, woh bhi ek muskurahat ke saath. Asad ko lag hi raha tha ke Zoya ko kuch dard ho raha hai, pur Zoya ki muskurahat ne usse sirf ek shak hi mein hi rehne diya. Wah pyaar teri bhi kya taakhat hai.
Ayaan bhai hone ka poora farz nibha raha hai. Yeh rishte bhi kaise hote hain, jiski bali hum chadh jaate hain. Aaj Ayaan ne apne aage apni behen ki khushi daikhi, aur Razia ko laga ke woh usko apne jaal mein phaans rahi hai. Rishton ka mol sauda kurne waale nahin jaante, kyonke unke liye toh hur rishta sirf aur sirf ek sauda hota hai.
Ayaan ne Humaira ko apne naam ki angothi pehna hi di, chahey Razia ke kehne pur hi, pur Humaira ke chehre pur khushi daikh kur bohut khushi hui. Humaira saari khushiya paane ka haq rakhti hai. Razia ko uske apne amal ki sazza milni chahiye, uski sazza Humaira kyon bhugte. Ayaan usko dil se apna bana le yehi dua kurte hain.
Four Lions ko daad deyni padeygi itni khobsurti se iss show ko likhne pur, ek ek kirdar (character), kahani ka eke k pehlu itna dilchasp hai ke aap show ko daikhne pur majboor ho jaye. Salam hai poori team ko!!!
Agle hafte hone wala hai bohut kuch dhamakedar, bas aap daikhna mut bholiyega Monday se Friday tak roz raat 9:30 bajee Qubool Hai Zee TV pur!!
Author – Muniza Riaz
Telly Tadka

Inga kommentarer:

Skicka en kommentar