juni 04, 2013

Qubool Hai:Yeh Pareshaani Pareshan ko Khoob Jaanti Hai



Chehre pur aa jay ek pyaar si muskaan jab sasur rakhe bahu ke sir pur haath. Zoya ko jitni Rashid ko daikh kur hairani hoiee, mujhe utni hi khushi hoiee. Main jaanti hi thi ke Rashid zaror Zoya ki madad kurne aaenge. Rishte kitne bhi kadwe ho, pur atoot hi rehte hain. Unka mol toh ho hi nahin sakta. Rashid ne bohut achi baat boli ke “Dilshaad aur Asad mujh se naraz hain” jo bilkul theek hai, woh naraz hain, pur nafrat nahin kurte. Aur humein yakheen hai ke Zoya iss narazgi ko bhi jald hi dur kur deygi. Shukar hai Zoya ne Rashid ko sab bata diya, aur Rashid ne bilkul sahi kaha “jo baatein tum ne mujhe batai hain woh sab insaan kisi ki nafrat mein toh kur sakta hai lekin mohabbat mein nahin” bohut khoob Rashid Ahmed Khan, mohabbat mein kabhi kissi ka bura kiya hi nahin jaata. Aap ne Zoya ke sir pur haath rakh diya, abb Zoya ko Tanveer ko shikast deyne mein koi mushkil nahin hogi.

Razia ko aag se khelne ka bohut shaukh hai, issi aag mein jald jhulas (jalne) ne waali hai woh. Imraan miyan sharafat ki baat kurte hain, unke khandan ki sharafat ko Billo Raani paal rahi hai apne andar. Sach baat hai, jab log kissi pur ungli uthate hain, toh teen ungliyan jo unn pur uth rahi hoti hain, bilkul bhol hi jaate hain. Keechad uchalna aasan hai, pur usko saaf kurne ke liye shaffaf paani hi ki zarorat hoti hai. Mujhe khushi hogi sabse zyada jab Nikhat ka rishta Imran se bilkul toote jaega, aur iss rishte ki wajjah se Ayaan Humaira se bhi shaadi kurne ke liya waqt maangeyga, tab Razia begum kya karengi yeh hum sab dekhenge.

“Asad Ahmed Khaan, yaani Rajnikanth plus Superman

Uss mein jod dijiye Rambo and then multiply by Jackie Chan”
Wah, wah, wah, wah!!
Khushi hui Zoya ki shayari ko wapas show mein daikh kur. Hone wali wife, poore josh mein thi apne hone waale husband ki tareef mein bohut kuch kehne ke liye. Zoya ki yehi ada toh uske chahne waalon ko bhati hai. Apne josh mein woh humein Mitwa moment de jaati hai, kya bolte hain aap?

Tanveer ke din toh poore huve, Zoya ki nazar jab kisi pur padh jaaye jo uske apno ko nukhsan pohanchaye, toh phir woh chorti nahin. Aur Zoya ke sir pur toh waise bhi Rashid Ahmed Khan ka haath hai, aur uske saath Dilshaad ka bharosa aur pyaar. Tanveer abhi kitni bhi chalak bane, aur kitne bhi waar kare abb who Zoya ka kuch nukhsaan nahin kur paayegi.

Logon ko yeh ghalat fehmi hai ke hum ladki waale hain toh humein jhukna hai. Mujhe khushi hogi agar 4 Lions iss baat ko highlight kare ke ladki deyne waale ka sir kabhi jhukna nahin chahiye. Betiyan majbori kabhi nahin hoti hain, chahe unke rang, roop ki wajjah se unhein saalon intezaar kurna padhe. Rashid Ahmed Khan ka khandan itna bhi ghareeb nahin hai ke intezar na kur sake. Ache rishte abhi bhi mil sakte hain, pur aise lalchi aur chote logon mein rishta kurne se behter hai ke rishta na kiya jaye. Rishta apne barabar waalon mein hi kurna chahiye. Barabari sirf paise se hi nahin, soch se bhi honi chahiye. Sheeren ko Razia, aur Asad ko Tanveer ke trap se bahar nikalna chahiye.

Kal ki episode aap sabhi ke liye bohut kuch dhamakedar lane wali hai. Toh daikhte rahiye “Qubool Hai” Monday se Friday tak hur raat 9:30 bajee Zee TV pur.
Author – Muniza Riaz

Telly Tadka

Inga kommentarer:

Skicka en kommentar