Zoya ke bahar koi kitna bhi judge kare pur uske andar ki khobsurti ko nazar andaaz nahin kur sakta. Zoya ne toh iss baat ko bilkul sach kur diya “raat gaiee baat gaiee, hur subah naiee shuruat hui”. Zoya ki tareef mein jitna kaha jaaye kum hai. Kitni khobsurti se who baat ko bhol jaati hai, ya kahe toh nazar andaaz kur deyti hai. Asad ne chahe uska dil dukhaya ho, pur uss ne apni baat kehne ke baad usse apne dil se nikaal diya. Yehi khobsurti hoti hai ek insaan ki ke who maaf kurde aur bhool jaaye. Zoya apni narazgi ka izhaar bohut khobsurti se kurti hai, aur aaj bhi Mr.Khan ko paratha na de kur uss ne yeh jata diya ke main aap se ek khadam aage hoon. Zoya Asad Ahmed Khan ki zindagi ki raunaq hai, uske ghar ki raunaq hai. Zindagi ko kaise jeete hain, yeh Zoya hi seekha sakti hai. Chunauti bhi di Tanu ko toh bhi apne shairana andaaz mein.
Dil mein ho chutti toh Monday bhi itwaar hai
Dil mein ho chutti toh Monday bhi itwaar hai
Jaisi bhi situation aaye Zoya bilkul Taiyaar hai
Dil mein ho chutti toh Monday bhi itwaar hai
Jaisi bhi situation aaye Zoya bilkul Taiyaar hai
Hum sab jante hain ke Zoya Khan abb bilkul taiyaar hain sab chunautiyon ke liye. Aaj who jaan gaiee ke Tanveer ek aankh se nahin daikh sakti. Shukar hai yeh baat uss ne Asad se nahin kahin, bilkul sahi faisla liya Zoya ne. Kyonke agar who kehti bhi toh bhi Asad uski baat pur yakheen nahin kurta, toh behter hai ke Zoya Asad ko live coverage dikhaye tanu ke sach ki, kya kehte hain aap? Tanu aur Zoya ki yeh ladai bohut hi dilchusp hai. Zoya poori confident hai, aur jab ek insaan ghalat ko sahi kurne ki thaan le toh phir jeet ussi ki hoti hai
Razia apni hurkaton se baaz nahin aayegi. Hur roz ek naye waar ke saath khadi hoti hai. Jaise shaitaan ko sukoon nahin aur laga hai insaan ko bhatkane mein, pareshaan kurne mein, issi tarah Razia ko bhi sukoon nahin. Zindagi ke jo pal who ache se ji sakti hai, unhi palon ko inn chaalon ki wajah se barbaad kur rahi hai. Na khudh khush na dosron ko khush rehne deyti hai. Beekar mein Sheeren uski chaalon ka mohra bani hai. Ayaan apni zid pur khada hai, woh bilkul apni jagah sahi hai, lekin mujhe lagta hai ke Ayaan ko Asad ko sab batana chahiye, jaise hur baat woh apne bhai jaan se share kurta tha. Bhaiyon mein ek faasla sa aa gaya hai. Woh faasla kisi bhi wajjah se nahin hona chahiye. Achi baat hai ke woh apni ladai khudh lad raha hai, apni zimmedari nibha raha hai, pur kabhi kabhi apno se mashwara (advice) kurne se kuch bigadta nahin.
Sheeren aaj Haseena bi ke dwaar pur khadi hai, apni beeti ki khushiyon ki bheeg mangne. Maa bhi kitni majboor hoti hai apne bachon ke liye, pur Sheeren ko toh yeh Razia se seekhna chahiye ke kissi ko kaise apni beti zabardasti deyni chahiye. Beti ki maa ho toh Razia jaisi, ladke waalon ka sir apne khadmon mein rakhey. Bohut khoob apne liye shair aur dosron ke liye chuha, wah Razia bi aap ka bhi jawab nahin.
Asad Ahmed Khan ne diya Zoya ko phir ek tohfa aur bade khobsurat andaaz mein maafi maangi. Zindagi ke iss lambe safar mein unka yeh pehla khadam hai. Aur Zoya toh hur khadam pur unke saath hai. Zoya jaanti hai rishton ki khobsurti ko bohut ache se, aur unhein nibhana bhi.
Kal aane waali hai dhamakedar episode, jis mein hogi photoshoot, aur Ayaan ke ghusse ki aag, toh daikhna bilkul nahin bholiyega Qubool Hai Monday se Friday tak hur roz raat 9:00 bajee Zee TV pur.
Author – Muniza Riaz
Telly Tadka
Inga kommentarer:
Skicka en kommentar