Salute kurte hain Spiderman ki mahanta ko. Kitni khobsurti se uss ne saari kadiyon ko joda aur jaan liya ke Munna hi Addu hai. Kyon na kurta yehi toh uska kaam hai. Ek behter reporter ka kaam hi yehi hai ke saare sabot ko daikhe, aur sahi jaankari le. Maan liya Mohan Bhatnager apko, apke kaam ko.
Beera apne ko bohut shaatir samajh raha hai, pur Munna ke aage woh bacha hi hai. Dadda ji ko shayad behla sakta hai, pur Munna ko nahin. Chahey woh sach bhi keh raha ho, pur Munna uske sach ko jhoot mein badal deyga. Jo apne pariwaar ke saath khel khel raha hai, uske liye Dadda aur Beera koi badi baat nahin. Likhne waale ne bohut khobsurti se characters ko likha hai. Aap kya samajhte hain Beera ki behen kya kur sakti hai? Woh Beer aka saath deygi ya, Munn aka? Pyaar toh andha hota hai, aur woh Munna se Pyaar kurti hai.
Aaj ka sabse khobsurat scene tha Nanhi aur uske Spiderman ka. Bohut hi anmol rishta hai yeh. Aaj bhi uss mein wohi nanhi chuppi hai jo bara saal pehle thi, specially jub Spiderman ki baat ho, hai na? Itna asaan nahin hota beti ko bidaa kurna, apne jigar ka tukda kisi ke haath mein dey deyna. Aur yehi haal Mohan Bhatnager ka hai, aaj bhi uske liye uski Nanhi nanhi si hi hai, aur Nanhi ke liye bhi uska Spiderman sirf uska hai, woh Rimjhim se bhi share nahin kur sakti, pur shayad thora thora woh khudh ko badalne ki koshish kur rahi hai. Waqt ke saath yeh samajh rahi hai ke who ek choti bachi nahin jo Rimjhim se ladai kare. Spiderman uska hai aur hamesha raheyga, uska number toh hamesha pehla hi raheyga, chahey kitni bhi Rimjhim aa jaye.
Beetiyan baap ke ghar se bidaa hone mein hi fakhar (proud) mehsoos kurti hain. Aur yeh adhikaar Nanhi ne apne Spiderman se adhikaar se manga, aur jo baat Spiderman khudh chahta tha woh uski Nanhi ne haq se de diya. Jahan kuch dair pehle sabki aankhein aansoon se bhari thi, wahi saare chehre khilkhila rahe theey.
Aane waale hai bohut dilchusp twists episode mein, bas aap daikhna mut bholiyega Na Bole Tum Na Maine Kuch Kaha Monday se Friday tak hur roz 9:30 bajee Colors TV pur.
Author – Muniza Riaz
Telly Tadka
Inga kommentarer:
Skicka en kommentar