Rashid Ahmed Khan ne Shaadi mein aa kur apne Baap hone ka farz nibhaya, aur Zoya ne unka saath de kur iss baat ki izzat rakhi ke ek Baap ka hona kitna zarori hota hai. Uske Baap toh hai nahin toh Asad Ahmed Khan ke Baap ka hona zarori hai. Sab rishton ko aaj khushi ke din pur khushi se qubool kiya gaya, aur iska sara credit Zoya ko hi jata hai. Aaj Zoya ki wajjah se ek baar sara khandan poora hova. Aur Zoya hi hai jo sab ko jodti hai, aur hamesha jodeygi.
Sach kaha Rashid Ahmed Khan ne “bin bulaye aane waale ki izzat nahin hoti” aur yehi toh Tanu ne kiya, bin bulaye Asad ki zindagi mein aagaiee. Toh kya kabhi izzat pa sakeygi? Izzat dhoko se nahin paaiee jaati hai, izzat paane ke liye jitney dard bardasht kurne padhte hain, yeh sirf Izzat wala hi jaanta hai. Loog itni asani se izzat nahin deyte, na izzat leyte hain. Tanu apne maqsad mein kamyaab toh hogaiee Zoya ka nikkah todne mein, pur kya yeh itna hi asaan hai? Kya dil se juda rishta toot paya hai kabhi, kya woh itna hi kamzoor hota hai? Nahin, kisi bhi cheez ko pana aasan hai, pur uska mol jaana itna asaan nahin, sadiyan lug jaati hain.
Asad ne hamesha Zoya ke kirdar pur ungli uthaii, aur aaj khudh ke kirdar ki gawahi deyni padeygi. Hum sab jaante hain ke Asad be’qasoor hai, pur abb usse Zoya ki adaalat mein jawaab deyna hoga. Tanu ghalat thi, ghalat hai, aur hamesha raheygi, pur iss baat se hamesha hamein seekhna chahiye ke kabhi kisi ke kirdar ko uske libaas se na pehchano, kyonke kanwal keechar mein hi khilta hai. Zoya kahin bhi pali badhi ho, daikhne mein woh kitni bhi be’kirdar lagey, pur who hamesha ba’kirdar rahi.
Zoya ka bhi yeh imtihaan hai, abb usse bhi Asad pur bharosa kurna padeyga. Kya woh bharosa kur paayegi? Jaisa Zoya ne kaha tha ke “main aapki sunongi, humare paas poori zindagi padi hai” toh usse sunna padeyga Asad Ahmed Khan ki.
Asad ne hamesha ghaltiyan ki ke Tanu pur yakheen kiya, pur uska bhi qasoor nahin, woh toh usse apna dost hi manta tha, abb dost ki niyat hi kharab ho toh iss mein Asad ka bhi koi qasoor nahin. Tanu ke liye toh sirf itna hi kahongi “jeet kur haarne waale ko Tanu kehte hain”. Aaj woh shayad apne challenge mein jeet gaiee, pur woh saare rishte, bharose, aur pyaar ko haar gaiee. Agar Asad hosh mein nahin tha, toh Tanu toh thi, kya woh kissi ko inform nahin kur sakti thi. Bohut saare questions Tanu se bhi honge. Dilshaad ko apne bete’ pur bharosa hai, pur Tanu pur nahin. Zoya ki zindagi barbaad kurke woh bhi kabhi sukoon aur khushiyan nahin paayegi.
Koi burai jab tak nahin jeeti jab tak aap usse mauqa na dein, ya phir aap itne kamzoor na ho. Agar aaj Tanu jeeti hai toh iss mein Asad ki kamzoori aur Zoya ki be’waqofi shaamil hai. Woh yeh baat apne dost se share kur sakti thi, ya phir aapi se. Koi uska yakheen kurta ya nahin, pur dost aur aapi toh kurte, aur uska saath deyte.
Zoya iss toofan se kaise ladh paayegi, kaise saamna kareyga Asad Zoya ka, aur Tanu kitne din khair manayegi, kehte hai na “Shair ki khala kitne din khair manayegi”. Abb tak pyaar ki ladai thi, abb bharose ki ladai hai, daikhte hain ke kiss ke bharose ki jeet hoti hai. Toh yeh sab jaane ke liye daikhte rahiye Qubool Hai Monday se Friday hur roz raat 9:30 bajee Zee TV pur.
Author – Muniza Riaz
Telly Tadka
Inga kommentarer:
Skicka en kommentar